Depression

Started by Shraddha R. Chandangir, September 28, 2017, 10:20:52 PM

Previous topic - Next topic

Shraddha R. Chandangir

DEPRESSION!!
.
1) Mere hi sath aisa kyu¿
2) Meri kya galti thi¿
3) Uska sab kuch perfect kaise¿
4) Kash mai khaandaani rais hota/hoti
5) Mera wajan kyu nahi kam hota¿
6) Koi muze samazta kyu nahi¿¿
7) Meri parents ke sath banti kyu nahi¿
8) Mere hi sath har waqt dhokha kyu¿¿
9) Mera koi dost kyu nahi banta?
10) Agar mai aisa karunga/karungi to Mausi ke nanand ke padosi ke mama ke sali ke sasur jee kya sochenge?
11) Meri kismat hi kharab hai!
16) Sab kuch khatam! suicide karlu kya¿¿¿¿
.
Kuchh dino pehle kahi padha tha, ki Survey ke anusaar 2030-40 tak jyada se jyada logo ki death ka reason  depression hi hoga! Kitna sach hai kitna zut, ye to pata nahi!! Jaha tak zehen pohoch paya hai, waha tak is "Gambhir" mudde ko samzane ki koshish ki hai!
.
BANDA AAKHIR KARE TO KARE KYA¿¿¿¿
.
Kuch aur sapno ki khatir engineering chhod di! Ab log gharwalo ko taane maarte hai!
Jabadasti engineering karke job ka pressure sehan nahi hua! Suicide karliye! Ab bhi log ghar walo ko hi tane marte hai!
Banda kare to kare kya¿
.
Muze jisse mohobbat hai, wo muze bhaav nahi deti! Jisko muzse mohobbat hai, use mai bhaav nahi deta😂😂
Banda kare to kare kya¿
.
35-40 ki umra hogai! Shadi nahi horahi, to problem!
Sahi umra me shadi karke 10 saal hogae! Bachhe nahi horahe, to problem!
Sahi umra me shadi bhi hui, sahi umra me bache bhi hue! Lekin ab bachhe hamari ek nahi sunte, to problem!
Banda kare to kare kya¿
.
graduation karke 4 sal hogae! naukri hi nahi milti, to problem!
wahi kuch log 27-28 sal tak graduate hote hai! lekin pehle se kama rahe hote hai!
Banda kare to kare kya¿
.
Kisi ka thyroid ke wajah se wajan kam nahi hota, to kahi koi super model har dusre din starving ki wajah se faint ho jati hai!
Banda kare to kare kya¿
.
Firr dikhai dete hai wo log, jinka sab kuchh perfect hota hai! zindagi bhi aaram se chal rahi hoti hai! lekin ek din achanak kisi bhayaanak haadse se sab kuchh khatam hojata hai!
Banda kare to kare kya¿¿
.
Ha ye sach hai ki ye sab likhna bohot aasan hai, lekin jis par guzarti hai wahi samaz sakta hai!
.
Upar likhi hui bato se sirf yahi kehne ki koshish ki hai, Ki is duniya me to ham khud temporary hai, firr hamari aaj ki situation kaise permanent ho sakti hai¿¿¿ Dusro ka muh band karna hamre hath me nahi hai! lekin apne kaan band karna to hamare hath me hai!
.
Kisi ne bohot khoob kaha hai, ki zindagi ko samazne ki koshish nahi karni chahiye! kyu ki jab bhi zindagi se juda hua koi ek jawab mil jaaye to zindagi sawal badal deti hai!
~ Shraddha R. Chandangir
[url="http://anamika83.blogspot.in/?m=1"]http://anamika83.blogspot.in/?m=1[/url]
.
[url="https://m.youtube.com/channel/UCdLKGqZoeBNBDUEuTBFPRkw"]https://m.youtube.com/channel/UCdLKGqZoeBNBDUEuTBFPRkw[/url]